Youtube partner kaise ban sakte hai?

Youtube partnet kaise ban sakte hai?Agar apke pass bahut saare youtube videos hai jinke bahut saare log watch karte hai aur apke subscriber ka sankhya har din increase ho raha hai to aap youtube partner program ke help se apne youtube videos ke dwara earning kar sakte hai.Youtube hame program provide karta hai jisko yotuube partner program kaha jaata hai jiske dwara aap unlimited earning kar sakte hai.Youtube partner program me join hone ke baad apke videos per ads aane lag jaate hai jisko jab apke viewers dekhte hai ya click karte hai tab apke sath yotube revenue-sharing karta hai.Niche kuch main important baatain bata raha hu Youtube partner program ke baare me.Please dhyaan se read kare
: -

Method – Youtube Partner program ko samajhna

a) Ad Revenue ke baare me sikhe : - Youtube partners apne video ko monetize kar sakta hai aur uske badle apne videos se hone waalre ad revenue ko receive kar sakta hai.Aap Youtube partner program me tab tak enrolled reh sakte hai jab tak apka 1 video bhi monetized rehta hai.Youtube partnership ke liye koi application ki jarurat nahi hoti hai.Jab jab apka video play kiya jaata hai usme ek ads display hota hai aur jab log usko watch ya click karte hai to apko uske badle Ad se generate hone waale revenue ka kuch percentage de diya jaata hai.

b) Youtube hame bahut saare tools provide karta hai jiske dwara aap apne videos ke analytic ko check kar sakte hai aur jaan sakte hai ki apka video kaise perform karta hai aur kitne log ads ko click kar rahe hai aur kis type ke ads apke video per aa rahe hai aur uss se hone waala benefit kiya hai.Yahi nahi aap apne video ko Google+ hangout ke help se live create kar sakte ho.

c) Apne subscriber ke dwara reward lena : Jab youtube me apke subscribe ki sankhya 100,000 ho jaati hai to apko framed silve “play button” mil jaata hai jasper youtube logo aur user ka naam likha hota hai.Jab apke subscriber ka sankhya 1 million ho jaata hai to apka button Gold me convert ho jaata hai baaki sabkuch waisa hi rehta hai.

d) Youtube partner program ke saare terms ko follow kare :  - Koi bhi video banana se pehle aap youtube partner ke saare term and condition ko read kar le kyuki agar apka video isko follow nahi karta to apke youtube monetization ko khatam bhi kiya jaa sakta hai.

Methods 2 of 3 : Video ko monetize karna

a) Apne yotuube account ko monetization ke liye enable karna : - Apne youtube account ko monetize karne ke liye apka account good standing me hona bahut jaruri hai.Iska matab hai ki aap kisi bhi youtube monetization guideline ko violate naa kare aur koi bhi copyright video ko upload naa kare.

Apne youtube account me login kare aur “feature” option me jaaye aur waha per “Enable” ko click kare jiske dwara apka youtube monetization enable ho jaayega.Iske liye apko Youtube ke saare terms ko read aur agree karna hoga.

b) Youtube me aap jis video ko bhi monetize kate hai usko sabse pehle review kiya jaata hai aur uske baad hi usper ads display hona start hota hai.Video upload karne se pehle kuch baato ka khyaal rakhe : -

i) Aapne apne video me jo music,images and text ka upyog kiya hai wo apke khud ke hone chahiye.

ii) Apke video me jo bhi content apka naa ho uska apke pass written permission hona chahiye.For example : agar apke video me jo music apne use kiya hai wo apka nahi hai to music owner se apko written permission hona chahiye ki aap apne video me uss music ko use kar sakte hai.

iii) Apka video Youtube ke saaare community guideline ko follow karna chahiye.Sexually explicit content , gratuitous violence, shock videos, hate speech etc type video ko upload nahi karna chahiye.

c) Apke puraane video per ad enable karna : - Agar apne pehle se video upload kiya hua hai to aap usme ads ko enable kar sakte hai.Iske liye kuch steps follow kare : -

i) youtube me login kare aur video manager option me jaaye

ii) jis video me ads enable karna hai usko search kare

iii) video ke aage apko “ $” ka sign milega jisko apko click karna hai.Iske baad monetization tab open ho jaayega.

Iv ) waha per “Monetize my video” option milega jisko check kar dena hai

v) Waha per ads ke kuch format milege jo apke select karna hai apke jarurat ke according. For exaple : - Overlay in-video , trueview in-stream and standard in-stream ads

vi) Uske baad “save changes” option ko click kar ke save kar dijiye.Iske baad apka video review process me chala jaayega.Agar apka video youtube ke saare term aur condition ko follow karega to usper apne-aap ads display hona start ho jaayega.Ads display hone me kuch time lag sakta hai

d) New videos per ads enable karna : - uper diye gaye steps ko follow kar ke aap naye video per bhi ads enable kar sakte hai.

e) Ek Adsense account creat kare : - Youtube partner program ke dwara payment receive karne ke liye apke pass ek Adsense account hona bahut jaruri hai.Adsense account ke liye apka age kam se kam 18 hona chahiye aur apke pass ek valid ghar ka address hona chahiye.Niche diye gaye kuch steps follow kare : -

i) channel setting me jaaye aur waha per “Monetization tab” ko click kare. Waha per ek option hoga “ how will I be paid?” usko select kare.Uske baad “ Associate the adsense account” option ko click kare.

ii) Uske baad Adsense site open ho jaayega aur apko apne Adsense account details daalne ko kahega.

iii) Waha per apko apne correct billing information add karna hoga.Bina correnct billing information ke Adsense apko payment nahi provide karega.

iv) Agar apak age 18 se kam hai to aap apne parent ke Adsense account se earning kar sakte hai aur apke behalf me apke parent payment receive karege.

Method 3 of 3 : Ad payment ko receive karna

a) Apna tax information add kare : - Jo log US se belong karte hai keval unhi logo ko apna tax information add karna jaruri hota hai.Jab aap minimum $10 earn kar lete hai tab apko apna tax information add karna jaruri hota hai.

i) Apne Adsense account me login kijiye uske baad “Account setting” page me jaaye.Uske baad “payment setting” section me jaaye.Waha per “update tax information” option ko click kare. Jo bhi jaruri information hai waha per enter kare.

b) Apne payment address ko verify kare  : - Jab aap Adsense se minimum $10 earn kar lete hai tab apko apna Address verify karna hota hai. Youtube apke ghar ke address per ek PIN send karta hai jisko apko apne Adsense account me enter karna hota hai aur uske baad hi apna ghar ka address verify ho paata hai.

c) Payment method ko select kare : - Aap apne payment method ko select kare.Different countries me alag-alag payment method se aap payment le sakte hai.Abhi presently India me Wire transfer ke dwara Adsense apko payment send karta hai jo 1 week ke ander apke bank account me pahuch jaata hai.


d) Select payment threshold  - aap apna payment threshold select kare.Defaul payment threshold $100 hota hai.Threshold ka matlab hota hai ki kitna earning hone ke baad aap apna payment Adsense se lena chahte hai.Iska matlab aap Google adsense ke batate hai ki mera earning falaana ho jaayega to aap mere payment ko send kar de.Aap Threshold me apne jarurat ke mutabik koi bhi amount select kar sakte hai jo available ho.

Google Adsense step by step Hindi training ke liye aap mere Hindi Google Adsense training DVD ka help le sakte hai.

-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : how to become a youtube partner, youtube ads type, how to monetized your youtube videos,video tutorial about monetized video,step to monetiz youtube video,google adsense video tutorial,adsense hindi training with Abhishek,Seo training in Hindi, youtube monetization ads type

No comments:

Post a Comment