Mere website per Adsense Ads show nahi ho raha hai.Kyu?

Mere website per Adsense Ads show nahi ho raha hai.Kyu?Agar apne apne website per Adsense ad code placed kar diya hai aur uske baad bhi ads show nahi ho raha hai to ek baar apko check karna chahiye ki kya apne Ad code ko apne website per thik tarah se implement kiya hai ya nahi?Iske liye aap apne website ke view source me jaaye aur check kare ki saare ad code properly likhe hue hai ya nahi jaisa ki apne placed kiya tha.Apko view source me check karna chahiye ki saara ad code bilcul same ho jaisa ki apne apne Adsense account me create kiya tha.Adsense ads show naa hone ke kuch common reason bhi ho sakte hai jo main niche one by one explain kar raha hu : -


1) Agar apka Adsense account pehle disapproved ho chuka hai to phir Adsense server ko instruction diya gaya hota hai ki wo apke website per Ads serve naa kare.Iske sath hi main apko batana chahuga ki jab aap Ads code ko apne website per placed karte hai to Ads apke website per appear hone me 48 hours lag sakte hai.Sath hi Adsense for search ka jo option hota hai usko work karne me 1 week tak lag sakta hai.

2) Agar apke website per Google Ads show nahi ho raha hai to kuch browser related problem bhi ho sakta hai.Main apko advice duga ki aap apne browser ke cache ko clear kar de sath apne browser ke cookies ko bhi clear kar de.

3) Apko check karna chahiye ki apne Adsense ad code ko properly implement kiya hai ya nahi.Iske liye aap apne browser ke source code me jaaye aur waha per check kijiye ki waha per jo Ad code hai wo Adsense account me jo ad code se mil raha hai ya nahi.

4) Agar apne Adsense ke liye host partner (like blogger or youtube) se apply kiya hai aur aap Adsense ad code ko apne website per placed kar rahe hai to waise condition me ads show nahi hoga.Jab tak aap apne Adsense account ko fully upgrade nahi kar lete hai aap kisi bhi website per Ad code ko placed nahi kar sakte hai.

5) Agar apne diye gaye samay ke ander apna PIN enter nahi kiya hai to apke website per Google ads disappear ho jaate hai.


6) agar apke browser me javascript enable nahi hota hai to waise condition me apke website Ads show nahi hota hai.Apne browser me javascript enable kar ke rakhe.

-----------

ADSENSE INTRODUCTION VIDEO YAHA CLICK KARE

ADSENSE DVD BUY KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

DVD CONTENTS KE LIYE YAHA CLICK KARE

ADSENSE INCOME PROOF YAHA CLICK KARE

LATEST NEWS KE LIYE SUBSCRIBE KARE YAHA CLICK KARE

APNA QUESTION PUCHNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

MUJHE CONTACT KARNE KE LIYE YAHA CLICK KARE

tag : Adsense ads now showing on website or blog,possible reason of Adsense ads now showing in website or blog,reason adsense ads now showing in website

1 comment: